Wednesday, June 10, 2015

Jab suraj dhalta hai
jab jab chanda badhta hai
door kahin veerane mein
ek aah sard si uthti hai
jaise geeli lakdi se dhuan
jaise kisi beva ki ho sada
wo yaad usi ki karti hai
jo jismo jaan ka hai malik
jo uske sukun ka hai malik
jo uske junoon ka hai malik
wo malik bhi kitana sangdil hai
jo hai bhi aur hai bhi nahin
jo sartaje chamno khwab bhi hai
hai saath magar, yun bhi nahi
ke milke jisase qarar aaye
wo aaye to dele naalaan ko
Do pal hi sahi, qarar aaye..
Jab suraj dhalta hai
jab jab chanda badhta hai
wo yaad tumhi ko karti hai.....


Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon
Yaad aate hain mujhe tanhai me, Pal jo guzare the teri bahon me
Pal the jo jannat se haseen, Pal jo guzare tere qareen
Pal the jo kul hasil e hayaat,Pal jinse hua mai sairaab
Ab kahaan dhundhane unko jaaoon, Chaloon aur tere dar pe ruk jaoon
Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon....

Yaad hai mujhko tera wo milna, Goya sabze me kali ka khilna
jaise maikhwar ko saki milna, Jaise syahi me safedi ka khilna
Tumse milke hi thi duniya raushan, Saz deti thi mujhe har dhadkan
Us waqt kya mujhpe junoon tari tha, Tere vasl k siwa sab khwari tha
Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon.....

Bhool gaya hoon tumhe aisa bhi nahi, Hai aur koi pas aisa bhi nahi
Hai haqeeqat ye sadiq ki qasam, ke mere huzoor koi tum jaisa hi nahi
Ek tum thi, tum hi ho aur tum hi rahogi duniya meri
Tum ho roop meri, dhoop meri, meri parwaaz ke par
Hal ho khoon me mere banke mohabbat meri
Dhadak rahi ho dhadkan me meri har saans k saath, Ban gai ho meri awaz, mera sur mara saaz
Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon.....................................

I guess its for me. Lucky am I???