Wednesday, June 10, 2015

Jab suraj dhalta hai
jab jab chanda badhta hai
door kahin veerane mein
ek aah sard si uthti hai
jaise geeli lakdi se dhuan
jaise kisi beva ki ho sada
wo yaad usi ki karti hai
jo jismo jaan ka hai malik
jo uske sukun ka hai malik
jo uske junoon ka hai malik
wo malik bhi kitana sangdil hai
jo hai bhi aur hai bhi nahin
jo sartaje chamno khwab bhi hai
hai saath magar, yun bhi nahi
ke milke jisase qarar aaye
wo aaye to dele naalaan ko
Do pal hi sahi, qarar aaye..
Jab suraj dhalta hai
jab jab chanda badhta hai
wo yaad tumhi ko karti hai.....


Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon
Yaad aate hain mujhe tanhai me, Pal jo guzare the teri bahon me
Pal the jo jannat se haseen, Pal jo guzare tere qareen
Pal the jo kul hasil e hayaat,Pal jinse hua mai sairaab
Ab kahaan dhundhane unko jaaoon, Chaloon aur tere dar pe ruk jaoon
Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon....

Yaad hai mujhko tera wo milna, Goya sabze me kali ka khilna
jaise maikhwar ko saki milna, Jaise syahi me safedi ka khilna
Tumse milke hi thi duniya raushan, Saz deti thi mujhe har dhadkan
Us waqt kya mujhpe junoon tari tha, Tere vasl k siwa sab khwari tha
Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon.....

Bhool gaya hoon tumhe aisa bhi nahi, Hai aur koi pas aisa bhi nahi
Hai haqeeqat ye sadiq ki qasam, ke mere huzoor koi tum jaisa hi nahi
Ek tum thi, tum hi ho aur tum hi rahogi duniya meri
Tum ho roop meri, dhoop meri, meri parwaaz ke par
Hal ho khoon me mere banke mohabbat meri
Dhadak rahi ho dhadkan me meri har saans k saath, Ban gai ho meri awaz, mera sur mara saaz
Tujhse naraz nahi sharminda hoon, Hoon hairaan ke kaise zindaa hoon.....................................

I guess its for me. Lucky am I???

Saturday, November 3, 2012

Humain tum saath pao ge


Mujhe bass itna kehna hai,
kabhi main yaad aoon to
Kabhi tanhayee ki raatain,
tumhai zyada satayen to
Kabhi titli na bole to,
aur jugnu lot jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye,
Koi jab sun na paye to
Kabhi sab dost saathi bhi
jo tum se rooth jayen to
Kabhi jab khud se lad ker
thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi
khud akele roo na pao to
Apni aankhon ko band kerna
mujhe awaz de dena
Phir mere tasawwur se
jo chahai baatain keh dena
Mere kandhe per sir rakh ker
tum jitna chahe ro lena
Jab main khud lout jaon to
apni dunya chale jana
Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main
Humain dil se pukaro ge
Humain tum saath pao ge

laut aana!!!!!!!!!!!!!

Udaas shaameiN, ujaar raste, kabhi bulaaiN to laut aana 
Kisi ki aaNkHoN meiN rat-jagoN ke azaab aaiN to laut aana 

Abhi naiee waadiyoN, nai manzaroN meiN reh lo. Magar meri jaaN 
Ye saaray aik aik kar ke jab tum ko chhor jaaiN to laut aana 

Jo shaam dhaltay hi apni apni panah-gahoN ko laut’te heiN 
Agar wo panchhi kabhi koi daastaN sunaaiN to laut aana 

Nai zamanoN ka karb or’hay, zaeef lamhe, nidhaal yaadeiN 
Tumharay khwaboN ke band kamray meiN aaiN to laut aana 

Agar andheroN meiN chhor kar tum ko bhool jaaiN tumharay saathi 
Aur apni khatir hi apnay apnay diye jalaaiN to laut aana 

Bichhar ke rafeeq meray udaas hona to laut aana 
Akelay pan ki udaas raateiN na kaat sakna to laut aana 

Parayi daisoN meiN kaun tujh ko meri tarah say mana sakay ga
Kisi se yooNhi mazaaq jhagray meiN rooth jana to laut aana 

Meri wo baateiN tu jin pe be-ikhtiyaar haNsta tha kHil Khila kar 
Bichharne walay meri wo baateiN kabhi rulaaiN to laut aana

Tuesday, October 30, 2012

JO GUZR GYA SO GUZR GYA.........!!!!!


JO GUZR GYA SO GUZR GYA.........!!!!!
na gila kia na khafa hoa
yuhi rastay may juda hoa
na wo bewafa na may bewafa
jo guzr gya so guzr gya......

wo gazal ki ik kitab tha
wo gulon may ik gulab tha
zra dair ka koi khawab tha
jo guzr gya so guzr gya.......

wo udas dhop smait kr
kahi wadion may utr gya
usey ab na dey mere dil sda
jo guzr gya so guzr gya.......

yeh safr bi kitna taweel hay
yaha wqt bi kitna qaleel hay
kaha loat kr koi aye ga
jo guzr gya so guzr gya......


JO GUZR GYA SO GUZR GYA.........!!!!!

Tuesday, June 19, 2007

woh gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni main chupa hua
kabi khushbuoon main basa hua

kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hin faaslay

kabhi door chalti hawaoon main
kabhi meenh barasti ghataoon main
kabhi bad-gumaan kabhi meherbaan
kabhi dhoop hai kabhi saayebaan

kabhi band dil ki kitaab main
kabhi lab kushaan woh khwab main
kabhi youn k jaisay sawal ho
kabhi youn k jaisay khayal ho

kabhi dekhnay k hain silsilay
kabhi sochnay k hain marhalay
kabhi sirf rang-e-bahar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa

kabhi dastaras k qareeb qareeb
kabhi door paas kahin nahi
yeh jo ukhrra ukhrra sa shakhs hai
yeh jo bikhra bikhra sa shakhs hai…
Younhi besabab na phera karo,
koi sham ghar bhi raha karo,
Woh ghazal ki sachi kitaab hai,
usay chup k chup k parha karo,
Koi haath bhi na milayeyga,
jo galay milo gay tapak say,
Yeh naye mizaj ka shahar hai,
yahan faslay say mila karo,
Abhi rah main kaye mor hain,
koi aye ga koi jaye ga,
Tumhay jis nay dil say bhula diay,
usay bholnay ki dua karo,
Mujay ishtihaar c lagti hain,
yeh muhabbatooon ki khanaiyan,
Jo kaha nahi woh suna karo,
jo suna nahin woh kaha karo,
YEh khizaan ki zard c shaal main,
jo udass ped k pass hai,
Yeh tumharay ghar ki bahar hai,
isay anso’on say hara karo.